Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue
hazar ranj-e-safar hai hazar ke hote hue
ye kaisi KHana-badoshi hai ghar ke hote hue
wo habs-e-jaan hai barasne se bhi jo kam na hua
ghuTan ghazab ki hai ek chashm-e-tar ke hote hue
mere wajud ko paikar ki hai talash abhi
main KHak hun hunar-e-kuzah-gar ke hote hue
sahar ujalne wale kiran kiran ke liye
taras rahe hain farogh-e-sahar ke hote hue
har inkishaf hai ek inkishaf-e-la-ilmi
kamal-e-be-KHabari hai KHabar ke hote hue
gurezan mujh se raha hai ye saya-e-diwar
main dhup dhup jala hun shajar ke hote hue
hum us se mil ke karen arz-e-haal kuchh 'irfan'
muhaal hai ye dil-e-hila-gar ke hote hue
(676) Peoples Rate This