Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai
har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai
qatil bhi wahi aur nigahban bhi wahi hai
barbaadi-e-gulshan ka jo saman bana tha
barbaadi-e-gulshan pe pasheman bhi wahi hai
hai nisbat-e-naumidi-e-tariki-e-shab jo
ek muzhda-e-ummid-e-farozan bhi wahi hai
pani mein talatum bhi usi chand ke bais
aur apni ada dekh ke hairan bhi wahi hai
tathir-e-siyasat ka bhi dawa hai usi ko
tanqid-e-hukumat se gurezan bhi wahi hai
mushkil hai mafar wahshat-e-tanhai se 'irfan'
jo qarya hai aabaad bayaban bhi wahi hai
(697) Peoples Rate This