Zehn Ho Tang To Phir ShoKHi-e-afkar Na Rakh
zehn ho tang to phir shoKHi-e-afkar na rakh
band tah-KHanon mein ye daulat-e-bedar na rakh
zaKHm khana hi jo Thahra to badan tera hai
KHauf ka nam magar lazzat-e-azar na rakh
ek hi chiz ko rahna hai salamat pyare
ab jo sar shanon pe rakkha hai to diwar na rakh
KHwahishen toD na Dalen tere sine ka qafas
itne shah-zor parindon ko giraftar na rakh
ab main chup hun to mujhe apni dalilon se na kaT
meri TuTi hui talwar pe talwar na rakh
aaj se dil bhi tere haal mein hota hai sharik
le ye hasrat bhi meri chashm-e-gunahgar na rakh
waqt phir jaane kahan us se mila de tujh ko
is qadar tark-e-mulaqat ka pindar na rakh
(886) Peoples Rate This