Zara Sa Waqt Kahin Be-sabab Guzarte Hain

zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain

chalo ye sham sar-e-ju-e-lab guzarte hain

tu ek charagh-e-jahan-e-digar hai kya jaane

hum is zamin pe kis tarah shab guzarte hain

hamara ishq hi kya hai guzarne wale

yahan to nazr mein nam o nasab guzarte hain

KHiraj mang rahi hai wo shah-banu-e-shahr

so hum bhi hadiya-e-dast-e-talab guzarte hain

suna to hoga ki jangal mein mor nachta hai

hum is KHarabe mein fasl-e-tarab guzarte hain

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Sa Waqt Kahin Be-sabab Guzarte Hain In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Zara Sa Waqt Kahin Be-sabab Guzarte Hain is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Zara Sa Waqt Kahin Be-sabab Guzarte Hain for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Zara Sa Waqt Kahin Be-sabab Guzarte Hain in PDF.