Zamin Par Shor-e-mahshar Roz O Shab Hota Hi Rahta Hai

zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai

hum apne git gaen ye to sab hota hi rahta hai

ye hum ne bhi suna hai aalam-e-asbab hai duniya

yahan phir bhi bahut kuchh be-sabab hota hi rahta hai

teri KHatir kai sachchaiyon se kaT gae rishte

mohabbat mein to ye tark-e-nasab hota hi rahta hai

musafir raat ko is dasht mein bhi ruk hi jate hain

hamare dil mein bhi jashn-e-tarab hota hi rahta hai

koi shai tasht mein hum sar se kam qimat nahin rakhte

so aksar hum se nazrana talab hota hi rahta hai

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Par Shor-e-mahshar Roz O Shab Hota Hi Rahta Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Zamin Par Shor-e-mahshar Roz O Shab Hota Hi Rahta Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Zamin Par Shor-e-mahshar Roz O Shab Hota Hi Rahta Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Zamin Par Shor-e-mahshar Roz O Shab Hota Hi Rahta Hai in PDF.