Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae
ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae
to kaenat ko kyun dard-e-sar banaya jae
zara si der ko ruk kar kisi jazire par
samundaron ka safar muKHtasar banaya jae
ab ek KHema lage dushmanon ki basti mein
dua-e-shab ko nishan-e-sahar banaya jae
yahi kaTe hue bazu alam kiye jaen
yahi phaTa hua sina sipar banaya jae
suna ye hai ki wo dariya utar gaya aaKHir
to aao phir usi reti pe ghar banaya jae
ajab masaf sukut o suKHan mein jari hai
kise wasila-e-arz-e-hunar banaya jae
(726) Peoples Rate This