Wahshat Ke Sath Dasht Meri Jaan Chahiye

wahshat ke sath dasht meri jaan chahiye

is aish ke liye sar-o-saman chahiye

kuchh ishq ke nisab mein kamzor hum bhi hain

kuchh parcha-e-sawal bhi aasan chahiye

tujh ko supurdagi mein simaTna bhi hai zarur

sachcha hai karobar to nuqsan chahiye

ab tak kis intizar mein baiThe hue hain log

ummid ke liye koi imkan chahiye

hoga yahan na dast-o-gareban ka faisla

is ke liye to hashr ka maidan chahiye

aaKHir hai e'tibar-e-tamasha bhi koi chiz

insan thoDi der ko hairan chahiye

jari hain pa-e-shauq ki iza-rasaniyan

ab kuchh nahin to sair-e-bayaban chahiye

sab shairan KHarida-e-darbar ho gae

ye waqia to daKHil-e-diwan chahiye

mulk-e-suKHan mein yun nahin aane ka inqalab

do-chaar bar nun ka elan chahiye

apna bhi muddaton se hai ruqa laga hua

bilqis-e-shairi ko sulaiman chahiye

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Ke Sath Dasht Meri Jaan Chahiye In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Wahshat Ke Sath Dasht Meri Jaan Chahiye is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Wahshat Ke Sath Dasht Meri Jaan Chahiye for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Wahshat Ke Sath Dasht Meri Jaan Chahiye in PDF.