Uski Timsal Ko Pane Mein Zamane Lag Jaen
us ki timsal ko pane mein zamane lag jaen
hum agar aaina-KHanon hi mein jaane lag jaen
kya tamasha hai ki jab bikne pe raazi ho ye dil
ahl-e-bazar dukanon ko baDhane lag jaen
panw mein KHak hi zanjir-e-giran hai ki nahin
puchhna log jab is shahr se jaane lag jaen
aashiqi ke bhi kuchh aadab hua karte hain
zaKHm khaya hai to kya hashr uThane lag jaen
aur kis tarah karen husn-e-KHuda-dad ka shukr
sher likhne lagen taswir banane lag jaen
kuchh to zahir ho ki hain jashn mein shamil hum log
kuchh nahin hai to chalo KHak uDane lag jaen
(938) Peoples Rate This