Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc0acf84f88ec74672607d6e351aa41a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya

us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya

hum jis mein ji rahe the wo ghar band kar diya

shayad KHabar nahin hai ghazalan-e-shahr ko

ab hum ne jangalon ka safar band kar diya

apne lahu ke shor se tang aa chuka hun main

kis ne ise badan mein nazar-band kar diya

ab DhunD aur qadr-shanasan-e-rang-o-bu

hum ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diya

ek ism-e-jaan pe Dal ke KHak-e-faramushi

andhe sadaf mein hum ne guhar band kar diya

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Us Se BichhaD Ke Bab-e-hunar Band Kar Diya in PDF.