UlaT Gaya Hai Har Ek Silsila Nishane Par

ulaT gaya hai har ek silsila nishane par

charagh ghat mein hain aur hawa nishane par

ghazal mein us ko sitam-gar kaha to ruTh gaya

chalo ye harf-e-malamat laga nishane par

main apne sine se sharminda hone wala tha

ki aa laga koi tir-e-jafa nishane par

KHuda se aaKHiri rishta bhi kaT na jae kahin

ki ab ke hai mera dast-e-dua nishane par

wo shoala apni hi tezi mein jal bujha warna

rakha tha KHema-e-sabr-o-raza nishane par

main intizar mein hun kaun use shikar kare

bahut dinon se hai meri nawa nishane par

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UlaT Gaya Hai Har Ek Silsila Nishane Par In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. UlaT Gaya Hai Har Ek Silsila Nishane Par is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem UlaT Gaya Hai Har Ek Silsila Nishane Par for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download UlaT Gaya Hai Har Ek Silsila Nishane Par in PDF.