Tum Hamein Ek Din Dasht Mein ChhoD Kar Chal Diye The Tumhein Kya KHabar Ya AKHi

tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi

kitne mausam lage hain hamare badan par nikalne mein ye baal-o-par ya aKHi

shab-gazida dayaron ke naqa-sawaron mein mahtab-chehra tumhaara na tha

KHak mein mil gae rah takte hue sab KHamida kamar baam-o-dar ya aKHi

jang ka faisla ho chuka hai to phir mere dil ki kamin-gah mein kaun hai

ek shaqi kaTta hai tanaben mere KHema-e-KHwab ki raat bhar ya aKHi

ye bhi achchha hua tum is aashob se apne sarsabz bazu bacha le gae

yun bhi ku-e-ziyan mein lagana hi tha hum ko apne lahu ka shajar ya aKHi

nahr is shahr ki bhi bahut mehrban hai magar apna rahwar mat rokna

hijraton ke muqaddar mein baqi nahin ab koi qarya-e-mo'tabar ya aKHi

zard patton ke ThanDe badan apne hathon pe le kar hawa ne shajar se kaha

agle mausam mein tujh par nae barg-o-bar aaenge tab talak sabr kar ya aKHi

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Hamein Ek Din Dasht Mein ChhoD Kar Chal Diye The Tumhein Kya KHabar Ya AKHi In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Tum Hamein Ek Din Dasht Mein ChhoD Kar Chal Diye The Tumhein Kya KHabar Ya AKHi is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Tum Hamein Ek Din Dasht Mein ChhoD Kar Chal Diye The Tumhein Kya KHabar Ya AKHi for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Tum Hamein Ek Din Dasht Mein ChhoD Kar Chal Diye The Tumhein Kya KHabar Ya AKHi in PDF.