Sukut-e-KHauf Yahan Ku-ba-ku Pukarta Hai
sukut-e-KHauf yahan ku-ba-ku pukarta hai
na us ki tegh na mera lahu pukarta hai
main apni khoi hui lauh ki talash mein hun
koi tilism mujhe chaar-su pukarta hai
wo mujh mein bolne wala to chup hai barson se
ye kaun hai jo tere ru-ba-ru pukarta hai
nida-e-koh bahut khinchti hai apni taraf
mere hi lahje mein wo hila-ju pukarta hai
hamara ahd hai be-barg-o-bar shaKHon se
agarche qafila-e-rang-o-bu pukarta hai
ki jaise main sar-e-dariya ghira hun nezon mein
ki jaise KHema-e-sahra se tu pukarta hai
(677) Peoples Rate This