Shoala-e-ishq Bujhana Bhi Nahin Chahta Hai

shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai

wo magar KHud ko jalana bhi nahin chahta hai

us ko manzur nahin hai meri gumrahi bhi

aur mujhe rah pe lana bhi nahin chahta hai

jab se jaana hai ki main jaan samajhta hun use

wo hiran chhoD ke jaana bhi nahin chahta hai

sair bhi jism ke sahra ki KHush aati hai magar

der tak KHak uDana bhi nahin chahta hai

kaise us shaKHs se tabir pe israr karen

jo hamein KHwab dikhana bhi nahin chahta hai

apne kis kaam mein laega batata bhi nahin

hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai

mere lafzon mein bhi chhupta nahin paikar us ka

dil magar nam batana bhi nahin chahta hai

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shoala-e-ishq Bujhana Bhi Nahin Chahta Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Shoala-e-ishq Bujhana Bhi Nahin Chahta Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Shoala-e-ishq Bujhana Bhi Nahin Chahta Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Shoala-e-ishq Bujhana Bhi Nahin Chahta Hai in PDF.