Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ffeabb6aa0e803b2b3378d7106a7c1ed, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise

sham-e-tanha ki tarah subh ke tare jaise

shahr mein ek hi do honge hamare jaise

chhu gaya tha kabhi is jism ko ek shola-e-dard

aaj tak KHak se uDte hain sharare jaise

hausle deta hai ye abr-e-gurezan kya kya

zinda hun dasht mein hum us ke sahaare jaise

saKHt-jaan hum sa koi tum ne na dekha hoga

hum ne qatil kai dekhe hain tumhaare jaise

didani hai mujhe sine se lagana us ka

apne shanon se koi bojh utare jaise

ab jo chamka hai ye KHanjar to KHayal aata hai

tujh ko dekha ho kabhi nahr kinare jaise

us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan

dusre Dubne wale ko pukare jaise

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Sham-e-tanha Ki Tarah Subh Ke Tare Jaise in PDF.