Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi
qadam uThe to gali se gali nikalti rahi
nazar diye ki tarah chaukhaTon pe jalti rahi
kuchh aisi tez na thi us ke intizar ki aanch
ye zindagi hi meri barf thi pighalti rahi
saron ke phul sar-e-nok-e-neza hanste rahe
ye fasl sukhi hui Tahniyon pe phalti rahi
hatheliyon ne bachaya bahut charaghon ko
magar hawa hi ajab zawiye badalti rahi
dayar-e-dil mein kabhi subh ka gajar na baja
bas ek dard ki shab sari umr Dhalti rahi
main apne waqt se aage nikal gaya hota
magar zamin bhi mere sath sath chalti rahi
(795) Peoples Rate This