Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dfd97d676493b03edddc5069b687d0e2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata

pukarta hai magar dhyan mein nahin aata

ajib harf hai imkan mein nahin aata

bas ek nam hai apna nishan jo yaad nahin

aur ek chehra jo pahchan mein nahin aata

main gosha-gir hun sadiyon se apne hujre mein

masaf-e-baiat-o-paiman mein nahin aata

mujhe bhi hukm nahin shahr se nikalne ka

mera harif bhi maidan mein nahin aata

main is hujum mein kyun is qadar akela hun

ki jama ho ke bhi mizan mein nahin aata

mere KHuda mujhe is aag se nikal ki tu

samajh mein aata hai iqan mein nahin aata

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Pukarta Hai Magar Dhyan Mein Nahin Aata in PDF.