Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha
murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha
wo aadmi tha ghalat-fahmiyan bhi rakhta tha
bahut dinon mein ye baadal idhar se guzra hai
mera makan kabhi saeban bhi rakhta tha
ajib shaKHs tha bachta bhi tha hawadis se
phir apne jism pe ilzam-e-jaan bhi rakhta tha
Dubo diya hai to ab is ka kya gila kije
yahi bahao safine rawan bhi rakhta tha
tu ye na dekh ki sab Tahniyan salamat hain
ki ye daraKHt tha aur pattiyan bhi rakhta tha
har ek zarra tha gardish mein aasman ki tarah
main apna panw zamin par jahan bhi rakhta tha
lipaT bhi jata tha aksar wo mere sine se
aur ek fasla sa darmiyan bhi rakhta tha
(872) Peoples Rate This