Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya
mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya
wo mehrban pas-e-gard-e-safar chala bhi gaya
wagarna tang na thi ishq par KHuda ki zamin
kaha tha us ne to main apne ghar chala bhi gaya
koi yaqin na kare main agar kisi ko bataun
wo ungliyan thin ki zaKHm-e-jigar chala bhi gaya
mere badan se phir aai gae dinon ki mahak
agarche mausam-e-barg-o-samar chala bhi gaya
hawa ki tarah na dekhi meri KHizan ki bahaar
khila ke phul mera KHush-nazar chala bhi gaya
ajib raushaniyan thin visal ke us par
main us ke sath raha aur udhar chala bhi gaya
kal us ne sair karai nae jahanon ki
to ranj-e-narasi-e-baal-o-par chala bhi gaya
(709) Peoples Rate This