Mere Hone Mein Kisi Taur Se Shamil Ho Jao

mere hone mein kisi taur se shamil ho jao

tum masiha nahin hote ho to qatil ho jao

dasht se dur bhi kya rang dikhata hai junun

dekhna hai to kisi shahr mein daKHil ho jao

jis pe hota hi nahin KHun-e-do-alam sabit

baDh ke ek din usi gardan mein hamail ho jao

wo sitamgar tumhein tasKHir kiya chahta hai

KHak ban jao aur us shaKHs ko hasil ho jao

ishq kya kar-e-hawas bhi koi aasan nahin

KHair se pahle isi kaam ke qabil ho jao

abhi paikar hi jala hai to ye aalam hai miyan

aag ye ruh mein lag jae to kaamil ho jao

main hun ya mauj-e-fana aur yahan koi nahin

tum agar ho to zara rah mein hail ho jao

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Hone Mein Kisi Taur Se Shamil Ho Jao In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Mere Hone Mein Kisi Taur Se Shamil Ho Jao is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Mere Hone Mein Kisi Taur Se Shamil Ho Jao for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Mere Hone Mein Kisi Taur Se Shamil Ho Jao in PDF.