Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya
kuchh harf o suKHan pahle to aKHbar mein aaya
phir ishq mera kucha o bazar mein aaya
ab aaKHir-e-shab dard ka bhaTka hua rahwar
aaya bhi to shahr-e-lab-o-ruKHsar mein aaya
kya naqsh hua dil ke andhere mein numudar
kya rozan-e-raushan meri diwar mein aaya
hairan hun ki phir us ne na ki sabr ki takid
bazu jo mera bazu-e-dildar mein aaya
ye aaina-guftar koi aur hai mujh mein
socha bhi na tha main ne jo izhaar mein aaya
hasil na hua mujh ko wo mahtab to mabud
kya farq tere sabit o sayyar mein aaya
(881) Peoples Rate This