Koi Bijli In KHarabon Mein GhaTa Raushan Kare
koi bijli in KHarabon mein ghaTa raushan kare
ai andheri bastiyo tum ko KHuda raushan kare
nanhe honTon par khilen masum lafzon ke gulab
aur mathe par koi harf-e-dua raushan kare
zard chehron par bhi chamke surKH jazbon ki dhanak
sanwle hathon ko bhi rang-e-hina raushan kare
ek laDka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhul jae
ek buDhiya roz chaukhaT par diya raushan kare
KHair agar tum se na jal paen wafaon ke charagh
tum bujhana mat jo koi dusra raushan kare
aag jalti chhoD aae ho to ab kya fikr hai
jaane kitne shahr ye pagal hawa raushan kare
dil hi fanus-e-hawa dil hi KHas-o-KHar-e-hawas
dekhna ye hai ki us ka qurb kya raushan kare
ya to is jangal mein nikle chand tere nam ka
ya mera hi lafz mera rasta raushan kare
(872) Peoples Rate This