Khel Sab Aankhon Ka Hai Sara Hunar Aankhon Ka Hai
khel sab aankhon ka hai sara hunar aankhon ka hai
phir bhi duniya mein KHasara sar-ba-sar aankhon ka hai
hum na dekhenge to ye manzar badal jaenge kya
dekhna Thahra to kya naf-o-zarar aankhon ka hai
sochna kya hai abhi kar-e-nazar ka ma-hasal
hum to yun KHush hain ki aaghaz-e-safar aankhon ka hai
rafta rafta sare chehre darmiyan se haT gae
ek rishta aaj bhi baqi magar aankhon ka hai
rasta kya kya charaghon ki tarah takte the log
silsila aankhon mein ta-hadd-e-nazar aankhon ka hai
thak chuke donon tamasha-gah-e-alam dekh kar
aao so jaen ki in aankhon mein ghar aankhon ka hai
(747) Peoples Rate This