KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae
KHatm ho jang KHarabe pe hukumat ki jae
aaKHiri maraka-e-sabr hai ujlat ki jae
hum na zanjir ke qabil hain na jagir ke ahl
hum se inkar kiya jae na baiat ki jae
mamlikat aur koi baad mein arzani ho
pahle meri hi zamin mujh ko inayat ki jae
ya kiya jae mujhe KHush-nazari se aazad
ya isi dasht mein paida koi surat ki jae
hum abas dekhte hain ghurfa-e-KHali ki taraf
ye bhi kya koi tamasha hai ki hairat ki jae
ghar bhi rahiye to chale aate hain milne ko ghazal
kahe ko baadiya-paimai ki zahmat ki jae
apni tahrir to jo kuchh hai so aaina hai
ramz-e-tahrir magar kaise hikayat ki jae
(709) Peoples Rate This