Kahin To LuTna Hai Phir Naqd-e-jaan Bachana Kya
kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya
ab aa gae hain to maqtal se bach ke jaana kya
in aandhiyon mein bhala kaun idhar se guzrega
dariche kholna kaisa diye jalana kya
jo tir buDhon ki fariyaad tak nahin sunte
to un ke samne bachchon ka muskurana kya
main gir gaya hun to ab sine se utar aao
diler dushmano TuTe makan ko Dhana kya
nai zamin ki hawaen bhi jaan-lewa hain
na lauTne ke liye kashtiyan jalana kya
kanar-e-ab khaDi khetiyan ye sochti hain
wo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya
(1340) Peoples Rate This