Kab Se Raazi Tha Badan Be-sar-o-samani Par
kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par
shab main hairan hua KHun ki tughyani par
ek chahkar ne sannaTe ka toDa pindar
ek nau-barg hansa dasht ki virani par
kal bagule ki tarah us ka badan raqs mein tha
kis qadar KHush thi meri KHak pareshani par
mere honTon se jo suraj ka kinara TuTa
ban gaya ek sitara teri peshani par
kaun sa shahr-e-saba fath kiya chahta hun
log hairan hain mere kar-e-sulaimani par
(865) Peoples Rate This