Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_529cc1aedd6e6f6bba402ba57d97b295, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak

jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak

uDti hai KHana-e-dil ke dar-o-diwar pe KHak

tu ne miTTi se ulajhne ka natija dekha

Dal di mere badan ne teri talwar pe KHak

hum ne muddat se ulaT rakkha hai kasa apna

dast-e-dadar tere dirham-o-dinar pe KHak

putliyan garmi-e-nazzara se jal jati hain

aankh ki KHair miyan raunaq-e-bazar pe KHak

jo kisi aur ne likkha hai use kya malum

lauh-e-taqdir baja chehra-e-aKHbar pe KHak

chaar diwar-e-anasir ki haqiqat kitni

ye bhi ghar Dub gaya dida-e-KHun-bar pe KHak

pa-e-wahshat ne ajab naqsh banae the yahan

ai hawa-e-sar-e-sahra teri raftar pe KHak

ye ghazal likh ke harifon pe uDa di main ne

jam rahi thi mere aaina-e-ashaar pe KHak

ye bhi dekho ki kahan kaun bulata hai tumhein

mahzar-e-shauq paDho mahzar-e-sarkar pe KHak

aap kya naqd-e-do-alam se KHaridenge ise

ye to diwane ka sar hai sar-e-pindar pe KHak

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Jab Ye Aalam Ho To Likhiye Lab-o-ruKHsar Pe KHak in PDF.