Jaan Se Guzre Bhi To Dariya Se Guzarenge Tumhein

jaan se guzre bhi to dariya se guzarenge tumhein

sath mat chhoDna hum par utarenge tumhein

tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao

Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein

dil pe aata hi nahin fasl-e-tarab mein koi phul

jaan, is shaKH-e-shajar par to na warenge tumhein

khel ye hai ki kise kaun siwa chahta hai

jit jaoge to jaan nazr guzarenge tumhein

kaisi zebai hai jab se tumhein chaha hum ne

aur chahenge tumhein aur sanwarenge tumhein

ishq mein hum koi dawa nahin karte lekin

kam se kam marka-e-jaan mein na haarenge tumhein

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Se Guzre Bhi To Dariya Se Guzarenge Tumhein In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Jaan Se Guzre Bhi To Dariya Se Guzarenge Tumhein is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Jaan Se Guzre Bhi To Dariya Se Guzarenge Tumhein for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Jaan Se Guzre Bhi To Dariya Se Guzarenge Tumhein in PDF.