Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_425fb6becccb2ace8dc1c6ac9b512d32, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena

ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena

mere badan ki miTTi ko zara kundan-rang bana dena

aao tumhaari nazr karen hum ek charagh hikayat ka

jab tak jago raushan rakhna nind aae to bujha dena

bis ikkis baras pichhe hamein kab tak milte rahna hai

dekho, ab ki bar milo to dil ki baat bata dena

sine ke virane mein ye KHushbu ek karamat hai

warna itna sahal nahin tha rakh mein phul khila dena

dil ki zamin tak raushniyan thin, chehre the, hariyali thi

ab to jahan bhi sahil pana kashti ko Thahra dena

maula, phir mere sahra se bin barse baadal lauT gae

KHair, shikayat koi nahin hai agle baras barsa dena

KHwaja KHizr suno hum kab se is basti mein bhaTakte hain

tum ko agar taklif na ho to jangal tak pahuncha dena

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Ishq Miyan Is Aag Mein Mera Zahir Hi Chamka Dena in PDF.