Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa
is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa
KHwab ki tarah kabhi KHwab ki tabir mein aa
main bhi ai surKHi-e-be-nam tujhe pahchanun
tu hina hai ki lahu paikar-e-taswir mein aa
is ke halqe mein tag-o-taz ki wusat hai bahut
aahu-e-shahar, meri banhon ki zanjir mein aa
chaara-gar KHair se KHush-zauq hai ai meri ghazal
kaam ab tu hi mere dard ki tashhir mein aa
wo bhi aamada bahut din se hai sunne ke liye
ab to ai harf-e-talab mariz-e-taqrir mein aa
ek rang aaKHiri manzar ki dhanak mein kam hai
mauj-e-KHun uTh ke zara arsa-e-shamshir mein aa
(748) Peoples Rate This