Humse Wo Jaan-e-suKHan Rabt-e-nawa Chahti Hai
hum se wo jaan-e-suKHan rabt-e-nawa chahti hai
chand hai aur charaghon se ziya chahti hai
us ko rahta hai hamesha mari wahshat ka KHayal
mere gum-gashta ghazalon ka pata chahti hai
main ne itna use chaha hai ki wo jaan-e-murad
KHud ko zanjir-e-mohabbat se riha chahti hai
chahti hai ki kahin mujh ko baha kar le jae
tum se baDh kar to mujhe mauj-e-fana chahti hai
ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan
KHair ye bich ki diwar gira chahti hai
hum parindon se ziyaada to nahin hain aazad
ghar ko chalte hain ki ab sham hua chahti hai
hum ne in lafzon ke pichhe hi chhupaya hai tujhe
aur inhin se teri taswir bana chahti hai
(693) Peoples Rate This