Humse Shayad Hi Kabhi Uski Shanasai Ho
hum se shayad hi kabhi us ki shanasai ho
dil ye chahe hai ki shohrat ho na ruswai ho
wo thakan hai ki badan ret ki diwar sa hai
dushman-e-jaan hai wo pachhua ho ki purwai ho
hum wahan kya nigah-e-shauq ko sharminda karen
shahr ka shahr jahan us ka tamashai ho
dard kaisa jo Duboe na baha le jae
kya nadi jis mein rawani ho na gahrai ho
kuchh to ho jo tujhe mumtaz kare auron se
jaan lene ka hunar ho ki masihai ho
tum samajhte ho jise sang-e-malamat 'irfan'
kya KHabar wo bhi koi rasm-e-pazirai ho
(807) Peoples Rate This