Haq Fath-yab Mere KHuda Kyun Nahin Hua

haq fath-yab mere KHuda kyun nahin hua

tu ne kaha tha tera kaha kyun nahin hua

jab hashr isi zamin pe uThae gae to phir

barpa yahin pe roz-e-jaza kyun nahin hua

wo shama bujh gai thi to kohram tha tamam

dil bujh gae to shor-e-aza kyun nahin hua

wamandgan pe tang hui kyun teri zamin

darwaza aasman ka wa kyun nahin hua

wo shoala-saz bhi isi basti ke log the

un ki gali mein raqs-e-hawa kyun nahin hua

aaKHir isi KHarabe mein zinda hain aur sab

yun KHak koi mere siwa kyun nahin hua

kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein

us ka habib us se juda kyun nahin hua

jab wo bhi the gulu-e-burida se nala-zan

phir kushtagan ka harf rasa kyun nahin hua

karta raha main tere liye doston se jang

tu mere dushmanon se KHafa kyun nahin hua

jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main

jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haq Fath-yab Mere KHuda Kyun Nahin Hua In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Haq Fath-yab Mere KHuda Kyun Nahin Hua is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Haq Fath-yab Mere KHuda Kyun Nahin Hua for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Haq Fath-yab Mere KHuda Kyun Nahin Hua in PDF.