Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain
faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain
ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain
dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna
buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain
junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai
rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain
mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka
magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain
jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota
parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain
hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta
ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain
bahut nauhagari karte hain dil ke TuT jaane ki
kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain
(662) Peoples Rate This