Dhanak Se Phul Se Barg-e-hina Se Kuchh Nahin Hota

dhanak se phul se barg-e-hina se kuchh nahin hota

badan sahra hue aab-o-hawa se kuchh nahin hota

bahut kuchh dosto bismil ke chup rahne se hota hai

faqat us KHanjar-e-dast-e-jafa se kuchh nahin hota

agar wusat na dije wahshat-e-jaan ke ilaqe ko

to phir aazadi-e-zanjir-e-pa se kuchh nahin hota

koi konpal nahin is ret ki tah mein to kya nikle

yahan ai sada-dil kali ghaTa se kuchh nahin hota

azal se kuchh KHarabi hai kamanon ki samaat mein

parindo shoKHi-e-saut-o-sada se kuchh nahin hota

chalo ab aasman se aur koi rabta sochen

bahut din ho gae harf-e-dua se kuchh nahin hota

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhanak Se Phul Se Barg-e-hina Se Kuchh Nahin Hota In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Dhanak Se Phul Se Barg-e-hina Se Kuchh Nahin Hota is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Dhanak Se Phul Se Barg-e-hina Se Kuchh Nahin Hota for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Dhanak Se Phul Se Barg-e-hina Se Kuchh Nahin Hota in PDF.