Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui

darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui

mere shahr ki shab har chaukhaT ki zanjir hui

sab dhup utar gai TuTi hui diwaron se

magar ek kiran mere KHwabon mein asir hui

mera suna ghar mere sine se lag kar rota hai

mere bhai tumhein is bar bahut taKHir hui

hamein ranj bahut tha dasht ki be-imkani ka

lo ghaib se phir ek shakl zuhur-pazir hui

koi hairat mere lahje ki pahchan bani

koi chahat mere lafzon ki tasir hui

is dard ke qatil-manzar ko ilzam na do

ye to dekhne wali aankhon ki taqsir hui

kisi lashkar se kahin bahta pani rukta hai

kabhi ju-e-rawan kisi zalim ki jagir hui

phir lauh pe luTne wale KHazane likhe gae

mujhe ab ke baras bhi daulat-e-jaan taqdir hui

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui in PDF.