Dar Se Uski Na Irfan Juda Kar Usko
Dar se us ki na 'irfan' juda kar us ko
khol ye band-e-wafa aur riha kar us ko
nazar aane lage apne hi KHad-o-KHal-e-zawal
aur dekha karo aaina bana kar us ko
aaKHir-e-shab hui aaghaz kahani apni
hum ne paya bhi to ek umr ganwa kar us ko
dekhte hain to lahu jaise ragen toDta hai
hum to mar jaenge sine se laga kar us ko
tere virane mein hona tha ujala na hua
kya mila ai dil-e-saffak jala kar us ko
aur hum DhunDte rah jaenge KHushbu ka suragh
abhi le jaegi ek mauj uDa kar us ko
(765) Peoples Rate This