Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9d8f2f3ad5f7862202c7a09818c34215, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main - Irfan Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main

badan ke donon kinaron se jal raha hun main

ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main

tujhi pe KHatm hai jaanan mere zawal ki raat

tu ab tulu bhi ho ja ki Dhal raha hun main

bula raha hai mera jama-zeb milne ko

to aaj pairahan-e-jaan badal raha hun main

ghubar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh

hawa-e-taza tere sath chal raha hun main

main KHwab dekh raha hun ki wo pukarta hai

aur apne jism se bahar nikal raha hun main

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main in PDF.