Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai
ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai
hum wahi karte hain jo KHalq-e-KHuda karti hai
phir koi raat bujha deti hai meri aanhken
phir koi subh dariche mere wa karti hai
ek paiman-e-wafa KHak-basar hai sar-e-sham
KHema KHali hua tanhai aza karti hai
hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein
hum to sunet the ki zanjir sada karti hai
kaisi miTTi hai ki daman se lipaTti hi nahin
kaisi man hai ki jo bachchon ko juda karti hai
ab numudar ho is gard se ai naqa-sawar
kab se basti tere milne ki dua karti hai
(667) Peoples Rate This