Ab Ke Sahra Mein Ajab Barish Ki Arzani Hui
ab ke sahra mein ajab barish ki arzani hui
fasl-e-imkan ko numu karne mein aasani hui
pyas ne aab-e-rawan ko kar diya mauj-e-sarab
ye tamasha dekh kar dariya ko hairani hui
sar se sare KHwan KHushbu ke bikhar kar rah gae
KHak-e-KHema tak hawa pahunchi to diwani hui
dur tak uDne lagi gard-e-sada zanjir ki
kis qadar diwar-e-zindan ko pashemani hui
tum hi sadiyon se ye nahren band karte aae ho
mujh ko lagti hai tumhaari shakl pahchani hui
(683) Peoples Rate This