Ye Kaise Malbe Ke Niche Daba Diya Gaya Hun

ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun

mujhe badan se nikalo main tang aa gaya hun

kise dimagh hai be-faiz sohbaton ka miyan

KHabar uDa do ki main shahr se chala gaya hun

maal-e-ishq-e-ana-gir hai ye muKHtasaran

main wo darinda hun jo KHud ko hi chaba gaya hun

koi ghaDi hai ki hota hun aastin mein dafn

main dil se bahta hua aankh tak to aa gaya hun

mera tha markazi kirdar is kahani mein

baDe saliqe se be-majra kiya gaya hun

wo mujh ko dekh raha hai ajab tahayyur se

na-jaane jhonk mein kya kuchh use bata gaya hun

mujhe bhula na sakegi ye rahguzar-e-junun

qadam jama na saka rang to jama gaya hun

sab ehtimam se pahunche hain us ki bazm mein aaj

main apne haal mein sarmast o mubtala gaya hun

mere kahe se mere gird-o-pesh kuchh bhi nahin

so jo dikhaya gaya hai wo dekhta gaya hun

use bataya nahin hijr mein jo haal hua

jo baat sab se zaruri thi wo chhupa gaya hun

ghazal mein khinch ke rakh di hai apni jaan irfan

har ek sher mein dil ka lahu baha gaya hun

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaise Malbe Ke Niche Daba Diya Gaya Hun In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ye Kaise Malbe Ke Niche Daba Diya Gaya Hun is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ye Kaise Malbe Ke Niche Daba Diya Gaya Hun for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ye Kaise Malbe Ke Niche Daba Diya Gaya Hun in PDF.