Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai
yahan takrar-e-saat ke siwa kya rah gaya hai
musalsal ek haalat ke siwa kya rah gaya hai
tumhein fursat ho duniya se to hum se aa ke milna
hamare pas fursat ke siwa kya rah gaya hai
bahut mumkin hai kuchh din mein use hum tark kar den
tumhaara qurb aadat ke siwa kya rah gaya hai
bahut nadim kiya tha hum ne ek shirin-suKHan ko
so ab KHud par nadamat ke siwa kya rah gaya hai
hamara ishq bhi ab mand hai jaise ki tum ho
to ye sauda riayat ke siwa kya rah gaya hai
kahan le jaen ai dil hum teri wusat-pasandi
ki ab duniya mein wusat ke siwa kya rah gaya hai
salamat hai koi KHwahish na koi yaad zinda
bata ai sham wahshat ke siwa kya rah gaya hai
kisi aahaT mein aahaT ke siwa kuchh bhi nahin ab
kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai
bahut lamba safar tai ho chuka hai zehn o dil ka
tumhaara gham alamat ke siwa kya rah gaya hai
aziyyat thi magar lazzat bhi kuchh is se siwa thi
aziyyat hai aziyyat ke siwa kya rah gaya hai
hamare darmiyan sari hi baaten ho chuki hain
so ab in ki wazahat ke siwa kya rah gaya hai
baja kahte ho tum honi to ho kar hi rahegi
to hone ko qayamat ke siwa kya rah gaya hai
shumar o be-shumari ke taraddud se guzar kar
maal-e-ishq-e-wahdat ke siwa kya rah gaya hai
(724) Peoples Rate This