Yahan Jo Hai Kahan Us Ka Nishan Baqi Rahega
yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega
magar jo kuchh nahin wo sab yahan baqi rahega
safar hoga safar ki manzilen madum hongi
makan baqi na hoga la-makan baqi rahega
kabhi qarya-ba-qarya aur kabhi aalam-ba-alam
ghubar-e-hijrat-e-be-KHanaman baqi rahega
hamare sath jab tak dard ki dhaDkan rahegi
tere pahlu mein hone ka guman baqi rahega
bahut be-e'tibari se guzar kar dil mile hain
bahut din tak takalluf darmiyan baqi rahega
rahega aasman jab tak zamin baqi rahegi
zamin qaim hai jab tak aasman baqi rahega
ye duniya hashr tak aabaad rakkhi ja sakegi
yahan hum sa jo koi KHush-bayan baqi rahega
junun ko aisi umr-e-jawedan baKHshi gai hai
qayamat tak giroh-e-ashiqan baqi rahega
tamaddun ko bacha lene ki mohlat ab kahan hai
sar-e-girdab kab tak baadban baqi rahega
hamara hausla qaim hai jab tak saeban hai
KHuda jaane kahan tak saeban baqi rahega
tujhe malum hai ya kuchh hamein apni KHabar hai
so hum mar jaenge tu hi yahan baqi rahega
(963) Peoples Rate This