Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya
wo charagh-e-jaan ki charagh tha kahin rahguzar mein bujh gaya
main jo ek shoala-nazhad tha hawas-e-qarar mein bujh gaya
mujhe kya KHabar thi teri jabin ki wo raushni mere dam se thi
main ajib sada-mizaj tha tere e'tibar mein bujh gaya
mujhe ranj hai ki main mausamon ki tawaqquat se kam raha
meri lau ko jis mein aman mili main usi bahaar mein bujh gaya
wo jo lams meri talab raha wo jhulas gaya meri khoj mein
so main us ki tab na la saka kaf-e-dagh-dar mein bujh gaya
jinhen raushni ka lihaz tha jinhen apne KHwab pe naz tha
main unhi ki saf mein jala kiya main usi qatar mein bujh gaya
(1020) Peoples Rate This