Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun
wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun
tere firaq se pahle hi main juda ho jaun
main apne-ap ko tere sabab se jaanta hun
tere yaqin se haT kar to wahima ho jaun
talluqat ke barzaKH mein ain-mumkin hai
zara sa dukh wo mujhe de to main tera ho jaun
abhi main KHush hun to ghafil na jaan KHud se mujhe
na jaane kaun si laghzish pe main KHafa ho jaun
abhi to rah mein hail hai aarzu ki fasil
zara ye ishq siwa ho to ja-ba-ja ho jaun
abhi to waqt tanaffus ke sath chalta hai
zara Thahar ki main is jism se riha ho jaun
abhi to main bhi teri justuju mein shamil hun
qarib hai ki tamanna se mawara ho jaun
KHamoshiyan hain andhera hai be-yaqini hai
na ho jo yaad bhi teri to main KHala ho jaun
kisi se mil ke bichhaDna baDi aziyyat hai
to kya main ahd-e-tamana ka fasla ho jaun
tere KHayal ki surat-gari ka shauq liye
main KHwab ho to gaya hun ab aur kya ho jaun?
ye harf o saut ka rishta hai zindagi ki dalil
KHuda wo din na dikhae ki be-sada ho jaun
wo jis ne mujh ko tere hijr mein bahaal rakha
tu aa gaya hai to kya us se bewafa ho jaun
(796) Peoples Rate This