Udas Bas Aadatan Hun Kuchh Bhi Hua Nahin Hai
udas bas aadatan hun kuchh bhi hua nahin hai
yaqin mano kisi se koi gila nahin hai
adheD kar si raha hun barson se apni parten
natijatan DhunDne ko ab kuchh bacha nahin hai
zara ye dil ki umid dekho yaqin dekho
main aise masum se ye kah dun KHuda nahin hai
main apni miTTi se apne logon se kaT gaya hun
yaqinan is se baDa koi saneha nahin hai
to kya kabhi mil sakenge ya baat ho sakegi
nahin nahin jao tum koi masala nahin hai
wo raaz sine mein rakh ke bheja gaya tha mujh ko
wahi jo ek raaz mujh pe ab tak khula nahin hai
main bughz nafrat hasad mohabbat ke sath rakhun
nahin miyan mere dil mein itni jagah nahin hai
chahaar jaanib ye be-yaqini ka ghup andhera
ye meri wahshat ka inKHila hai KHala nahin hai
usi ki KHushbu se aaj tak main mahak raha hun
wo mujh se bichhDa hua hai lekin juda nahin hai
likha hua hai tumhaare chehre pe gham tumhaara
hamari haalat bhi aisi be-majra nahin hai
ye taza-kari hai tarz-e-ehsas ka karishma
mere lughat mein to lafz koi naya nahin hai
naya hunar sikh fi-zamana ho jis ki waqat
suKHan ki nisbat se ab koi puchhta nahin hai
jise ho 'irfan'-e-zat wo kya teri sunega
o naseha chhoD de koi faeda nahin hai
(1092) Peoples Rate This