Tere Jamal Se Hum Runuma Nahin Hue Hain
tere jamal se hum runuma nahin hue hain
chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain
dhaDak raha hai tu ek ism ki hai ye barakat
wagarna waqiye is dil mein kya nahin hue hain
bata na paen to KHud tum samajh hi jao ki hum
bila jawaz to be-majra nahin hue hain
tera kamal ki aankhon mein kuchh zaban pe kuchh
hamein to moajize aise ata nahin hue hain
ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin
abhi hum ahl-e-junun lab-kusha nahin hue hain
ba-nam-e-zauq-e-suKHan KHud-numai aap karen
hum is maraz mein abhi mubtala nahin hue hain
hami wo jin ka safar mawara-e-waqt-o-wajud
hami wo KHud se kabhi jo riha nahin hue hain
KHud-agahi bhi khaDi mangti hai apna hisab
junun ke qarz bhi ab tak ada nahin hue hain
kisi ne dil jo dukhaya kabhi to hum 'irfan'
udas ho gae lekin KHafa nahin hue hain
(752) Peoples Rate This