SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki
suKHan ke shauq mein tauhin harf ki nahin ki
ki hum ne dad ki KHwahish mein shaeri nahin ki
jo KHud-pasand the un se suKHan kiya kam kam
jo kaj-kulah the un se to baat bhi nahin ki
kabhi bhi hum ne na ki koi baat maslahatan
munafiqat ki himayat, nahin, kabhi nahin ki
dikhai deta kahan phir alag se apna wajud
so hum ne zat ki tafhim aaKHiri nahin ki
use bataya nahin hai ki main badan mein nahin
jo baat sab se zaruri hai wo abhi nahin ki
ba-nam-e-KHush-nafasi hum to aah bharte rahe
ki sirf ranj kiya hum ne, zindagi nahin ki
hamesha dil ko mayassar rahi hai daulat-e-hijr
junun ke rizq mein us ne kabhi kami nahin ki
ba-sad KHulus uThata raha sabhi ke ye naz
hamare dil ne hamari hi dilbari nahin ki
jise watira banae rahi wo chashm-e-ghazal
wo be-ruKHi ki suhulat hamein bhi thi, nahin ki
hai ek umr se mamul roz ka 'irfan'
dua-e-radd-e-ana hum ne aaj hi nahin ki
(686) Peoples Rate This