Shikast-e-KHwab Ka Hamein Malal Kyun Nahin Raha
shikast-e-KHwab ka hamein malal kyun nahin raha
bichhaD gae to phir tera KHayal kyun nahin raha
agar ye ishq hai to phir wo shiddaten kahan gain
agar ye wasl hai to phir muhaal kyun nahin raha
wo zulf zulf raat kyun bikhar bikhar ke rah gai
wo KHwab KHwab silsila bahaal kyun nahin raha
wo saya jo bujha to kya badan bhi sath bujh gaya
nazar ko tirgi ka ab malal kyun nahin raha
wo daur jis mein aagahi ke dar khule the kya hua
zawal tha to umr-bhar zawal kyun nahin raha
kahin se naqsh bujh gae kahin se rang uD gae
ye dil tere KHayal ko sambhaal kyun nahin raha
(922) Peoples Rate This