Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae
shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae
hum aaj KHalwat-e-jaan mein bhi be-dili se gae
gila karen bhi to kis se wo na-murad-e-junun
jo KHud zawal ki jaanib baDi KHushi se gae
suna hai ahl-e-KHirad ka hai daur-e-ainda
ye baat hai to samajh lo ki hum abhi se gae
KHuda kare na kabhi mil sake dawam-e-visal
jiyenge KHak agar tere KHwab hi se gae
hai ye bhi KHauf hamein be-tawajjohi se siwa
ki jis nazar se tawaqqoa hai gir usi se gae
maqam kis ka kahan hai, buland kis se hai kaun?
miyan ye fikr karoge to shairi se gae
har ek dar pe jabin Tekte ye sajda-guzar
KHuda ki khoj mein nikle the aur KHudi se gae
samajhte kyun nahin ye shaer-e-karaKHt-nawa
suKHan kahan ka jo lahje ki dilkashi se gae
gali thi sahn ka hissa hamare bachpan mein
makan baDe hue lekin kushadgi se gae
barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum
gae harim-e-suKHan mein to aajizi se gae
ye tez raushni raaton ka husn kha gai hai
tumhaare shahr mein hum apni chandni se gae
faqih-e-shahr ki har baat man lo chup-chap
agar sawal uThaya, to zindagi se gae
na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain
jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae
uThao raKHt-e-safar, aao ab chalo 'irfan'
hasin yahan ke to sab KHu-e-dilbari se gae
(967) Peoples Rate This