Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte
rakh ke Dher pe kya shoala-bayani karte
ek qisse ki bhala kitni kahani karte
husn itna tha ki mumkin hi na thi KHud-nigari
ek imkan ki kab tak nigarani karte
shola-e-jaan ko bujhate yunhi qatra qatra
KHud ko hum aag banate tujhe pani karte
phul sa tujh ko mahakta hua rakhte shab bhar
apne sanson se tujhe raat ki rani karte
naddiyan dekhen to bas sharm se pani ho jaen
chashm-e-KHun-basta se paida wo rawani karte
sab se kahte ki ye qissa hai purana sahab
aah ki aanch se taswir purani karte
dar-o-diwar badalne mein kahan ki mushkil
ghar jo hota to bhala naql-e-makani karte
koi aa jata kabhi yunhi agar dil ke qarib
hum tera zikr pae-yaad-dahani karte
sach to ye hai ki tere hijr ka ab ranj nahin
kya dikhawe ke liye ashk-fishani karte
dil ko har lahza hi di aql pe hum ne tarjih
yar-e-jaani ko kahan dushman-e-jaani karte
shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfan'
harf-e-KHush-rang ko andoh-e-maani karte
(754) Peoples Rate This